Khurshid Talab

ye junun ke marke itne nahin aasan bhi

Khurshid Talab

Bokaro, Jharkhand, India

ye junūñ ke ma.arke itne nahīñ āsān bhī
soch lenā is meñ jā saktī hai terī jaan bhī
raushnī bhī chāhiye taaza havā ke saath saath
khiḌkiyāñ rakhtā huuñ apne ghar meñ roshan-dān bhī
zindagī meñ jo tumheñ ḳhud se ziyāda the aziiz
un se milne kyā kabhī jaate ho qabristān bhī
gaañv kī pagDañDiyāñ pakkī saḌak se jā milīñ
tañg galiyoñ meñ badal kar rah ga.e maidān bhī
pāsbān-e-aql ne to mujh ko samjhāyā bahut
thā magar pahlū meñ mere dil sā ik nādān bhī
ḳhushk haiñ dariyā samundar kaT ga.e jañgal tamām
ret se ḳhālī hue jaate haiñ registān bhī
mere lafzoñ ke ujāle maañd paḌte jā.eñge
dhund meñ kho jā.egī ik din mirī pahchān bhī
ḳhud ko kaise qatl hone se bachātā meñ 'talab'
raat mere ghar meñ ik qātil thā aur mehmān bhī
Top Urdushayar.com