Khurshid Talab

palaT ke jaanib-e-ahl-o-ayal dekhta hun

Khurshid Talab

Bokaro, Jharkhand, India

palaT ke jānib-e-ahl-o-ayāl dekhtā huuñ
kabhī jab apne lahū meñ ubaal dekhtā huuñ
hanūz kuchh bhī badaltā nazar nahīñ aatā
hujūm dekhtā huuñ ishti.āl dekhtā huuñ
shikast-o-reḳht se mujh ko guzārtā hai vahī
isī ke chehre pe gard-e-malāl dekhtā huuñ
sab ek dhund liye phir rahe haiñ āñkhoñ meñ
kisī ke chehre pe maazī na haal dekhtā huuñ
lagā huā huuñ usī rañg ko ubhārne meñ
abhī ġhazal meñ jise ḳhaal ḳhaal dekhtā huuñ
tamām sūrat-e-hālāt inqilābī hai
falak shikasta zamīñ pā.emāl dekhtā huuñ
mujhe sameT ke rakhtā hai kitnī der 'talab'
kisī ke husn-e-nazar kā kamāl dekhtā huuñ
Top Urdushayar.com