Iftikhar Naseem

libas-e-KHak sahi par kahin zarur hun main

Iftikhar Naseem

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1946-2011
libās-e-ḳhāk sahī par kahīñ zarūr huuñ maiñ
batā rahī hai chamak aañkh kī ki nuur huuñ maiñ
koī nahīñ jo mirī lau se rāsta dekhe
havā-e-tund bujhā de tire huzūr huuñ maiñ
panāh detā nahīñ koī aur sayyāra
bhaTak rahā huuñ ḳhalā meñ zamīñ se duur huuñ maiñ
na ho girā ke mujhe tū bhī ḳhaak meñ mil jaa.e
mujhe gale se lagā le tirā ġhurūr huuñ maiñ
nikal paḌā huuñ yūñhī itnī barf-bārī meñ
badan ke garm lahū kā ajab surūr huuñ maiñ
sazā bhī kaaT chukā huuñ maiñ jis ḳhatā kī 'nasīm'
kise pukārūñ kahūñ is meñ be-qusūr huuñ maiñ
Top Urdushayar.com