Noon Meem Rashid

tu aashna-e-jazba-e-ulfat nahin raha

Noon Meem Rashid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1910-1975
tū āshnā-e-jazba-e-ulfat nahīñ rahā
dil meñ tire vo zauq-e-mohabbat nahīñ rahā
phir naġhma-hā-e-qum to fazā meñ haiñ gūñjte
tū hī harīf-e-zauq-e-samā.at nahīñ rahā
aa.iiñ kahāñ se aañkh meñ ātish-chikāniyāñ
dil āshnā-e-soz-e-mohabbat nahīñ rahā
gul-hā-e-husn-e-yār meñ dāman-kash-e-nazar
maiñ ab harīs-e-gulshan-e-jannat nahīñ rahā
shāyad junūñ hai mā.il-e-farzāngī mirā
maiñ vo nahīñ vo ālam-e-vahshat nahīñ rahā
mamnūn huuñ maiñ terā bahut marg-e-nā-gahāñ
maiñ ab asīr-e-gardish-e-qismat nahīñ rahā
jalva-gah-e-ḳhayāl meñ vo aa ga.e haiñ aaj
lo maiñ rahīn-e-zahmat-e-ḳhalvat nahīñ rahā
kyā fā.eda hai dāva-e-ishq-e-husain se
sar meñ agar vo shauq-e-shahādat nahīñ rahā
Top Urdushayar.com