jo  be-sabāt  ho  us  sarḳhushī  ko  kyā  kiije
ye  zindagī  hai  to  phir  zindagī  ko  kyā  kiije
rukā  jo  kaam  to  dīvāngī  hī  kaam  aa.ī
na  kaam  aa.e  to  farzāngī  ko  kyā  kiije
ye  kyuuñ  kaheñ  ki  hameñ  koī  rahnumā  na  milā
magar  sarisht  kī  āvārgī  ko  kyā  kiije
kisī  ko  dekh  ke  ik  mauj  lab  pe  aa  to  ga.ī
uThe  na  dil  se  to  aisī  hañsī  ko  kyā  kiije
hameñ  to  aap  ne  soz-e-alam  hī  baḳhshā  thā
jo  nuur  ban  ga.ī  us  tīrgī  ko  kyā  kiije
hamāre  hisse  kā  ik  jur.a  bhī  nahīñ  baaqī
nigāh-e-dost  kī  mai-ḳhāngī  ko  kyā  kiije
jahāñ  ġharīb  ko  nān-e-javīñ  nahīñ  miltī
vahāñ  hakīm  ke  dars-e-ḳhudī  ko  kyā  kiije
visāl-e-dost  se  bhī  kam  na  ho  sakī  'rāshid'
azal  se  paa.ī  huī  tishnagī  ko  kyā  kiije