hasrat-e-intizār-e-yār  na  pūchh
haa.e  vo  shiddat-e-intizār  na  pūchh
rañg-e-gulshan  dam-e-bahār  na  pūchh
vahshat-e-qalb-e-be-qarār  na  pūchh
sadma-e-andalīb-e-zār  na  pūchh
talḳh  anjāmi-e-bahār  na  pūchh
ġhair  par  lutf  maiñ  rahīn-e-sitam
mujh  se  ā.īna-e-bazm-e-yār  na  pūchh
de  diyā  dard  mujh  ko  dil  ke  evaz
haa.e  lutf-e-sitam-shi.ār  na  pūchh
phir  huī  yād-e-mai-kashī  taaza
masti-e-abr-e-nau-bahār  na  pūchh
mujh  ko  dhokā  hai  tār-e-bistar  kā
nā-tavāni-e-jism-e-yār  na  pūchh
maiñ  huuñ  nā-āshnā-e-vasl  hunūz
mujh  se  kaif-e-visāl-e-yār  na  pūchh