tire  karam  se  ḳhudā.ī  meñ  yuuñ  to  kyā  na  milā
magar  jo  tū  na  milā  ziist  kā  mazā  na  milā
hayāt-e-shauq  kī  ye  garmiyāñ  kahāñ  hotīñ
ḳhudā  kā  shukr  hameñ  nāla-e-rasā  na  milā
azal  se  fitrat-e-āzād  hī  thī  āvāra
ye  kyuuñ  kaheñ  ki  hameñ  koī  rahnumā  na  milā
ye  kā.enāt  kisī  kā  ġhubār-e-rāh  sahī
dalīl-e-rāh  jo  bantā  vo  naqsh-e-pā  na  milā
ye  dil  shahīd-e-fareb-nigāh  ho  na  sakā
vo  laakh  ham  se  ba-andāz-e-mahramāna  milā
kanār-e-mauj  meñ  marnā  to  ham  ko  aatā  hai
nishān-e-sāhil-e-ulfat  milā  milā  na  milā
tirī  talāsh  hī  thī  māya-e-baqā-e-vajūd
balā  se  ham  ko  sar-e-manzil-e-baqā  na  milā