is  tarah  kar  gayā  dil  ko  mire  vīrāñ  koī
na  tamannā  koī  baaqī  hai  na  armāñ  koī
har  kalī  meñ  hai  tire  husn-e-dil-ārā  kī  numūd
ab  ke  dāman  hī  bachegā  na  girebāñ  koī
mai-chakāñ  lab  nazar  āvāra  nigāheñ  gustāḳh
yuuñ  mire  pahlū  se  uThā  hai  ġhazal-ḳhvāñ  koī
zulf  barham  hai  dil  āshufta  sabā  āvāra
ḳhvāb-e-hastī  sā  nahīñ  ḳhvāb  pareshāñ  koī
naġhma-e-dard  se  ho  jaatā  hai  aalam  māmūr
is  tarah  chheḌtā  hai  tār-e-rag-e-jāñ  koī