Ram Riyaz

zarra insan kabhi dasht-nagar lagta hai

Ram Riyaz

1933-1990

zarra insān kabhī dasht-nagar lagtā hai

ba.az auqāt hameñ aisā bhī Dar lagtā hai

ham-nashīñ terī bhī āñkhoñ meñ jhalaktā hai dhuāñ

bhī min-jumla-e-arbāb-e-nazar lagtā hai

koī letā hai tirā naam to ruk jaatā huuñ

ab tirā zikr bhī sadiyoñ safar lagtā hai

ham pe bedād-garo sañg uThānā hai fuzūl

kahīñ uftāda daraḳhtoñ pe samar lagtā hai

mere dil meñ baḌe ā.īne haiñ tasvīreñ haiñ

sach batānā tumheñ kaisā mirā ghar lagtā hai

shab ke mahbūs haiñ sone ijāzat nahīñ

aañkh lagtī hai to dīvār se sar lagtā hai

'rām' is daur meñ qāmat bulandī ke liye

sar pe insān ke surḳhāb par lagtā hai

Top Urdushayar.com