Jigar Moradabadi

KHusha bedad KHun-e-hasrat-e-bedad hota hai

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961

ḳhushā bedād ḳhūn-e-hasrat-e-bedād hotā hai

sitam ījād karte ho karam ījād hotā hai

ba-zāhir kuchh nahīñ kahte magar irshād hotā hai

ham us ke haiñ jo ham par har tarah barbād hotā hai

mire nāshād rahne par vo jab nāshād hotā hai

batā.ūñ kyā jo merā ālam-e-fariyād hotā hai

yahī hai rāz-e-āzādī jahāñ tak yaad hotā hai

ki nazreñ qaid hotī haiñ to dil āzād hotā hai

dil-e-āshiq bhī kyā majmua-e-azdād hotā hai

udhar ābād hotā hai idhar barbād hotā hai

vo har ik vāqi.a jo sūrat-e-uftād hotā hai

kabhī pahle bhī dekhā thā kuchh aisā yaad hotā hai

baḌī mushkil se paidā ek vo ādam-zād hotā hai

jo ḳhud āzād jis har nafas āzād hotā hai

nigāheñ kyā ki pahroñ dil bhī vāqif ho nahīñ saktā

zabān-e-husn se aisā bhī kuchh irshād hotā hai

tumhīñ ho ta.ana-zan mujh par tumhīñ insāf se kah do

koī apnī ḳhushī se ḳhānamāñ-barbād hotā hai

ye maanā nañg-e-pābandī se kyā āzād ko matlab

magar vo sharm-e-āzādī se bhī āzād hotā hai

tasavvur meñ hai kuchh aisā tirī tasvīr aalam

ki jaise ab lab-e-nāzuk se kuchh irshād hotā hai

koī had nahīñ shāyad mohabbat ke fasāne

sunātā rahā hai jis ko jitnā yaad hotā hai

Top Urdushayar.com