Jigar Moradabadi

allah re is gulshan-e-ijad ka aalam

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961

allāh re is gulshan-e-ījād aalam

jo said aalam vahī sayyād aalam

uf rañg-e-ruḳh-e-bāni-e-bedād aalam

jaise kisī mazlūm fariyād aalam

pahroñ se dhaḌakne bhī aatī nahīñ āvāz

kyā jāniye kyā hai dil-e-nāshād aalam

mansūr to sar de ke subuk ho gayā lekin

jallād se pūchhe koī jallād aalam

maiñ aur tire hijr-e-musalsal shikāyat

terā to aalam hai terī yaad aalam

kyā jāniye kyā hai mirī merāj-e-maqāmī

aalam to hai sirf ik mirī uftād aalam

arbāb-e-chaman se nahīñ pūchho ye chaman se

kahte haiñ kise nik.hat-e-barbād aalam

kyuuñ ātish-e-gul mere nasheman ko jalā.e

tinkoñ meñ hai ḳhud barq-e-chaman-zād aalam

Top Urdushayar.com