raaz  jo  sīna-e-fitrat  meñ  nihāñ  hotā  hai
sab  se  pahle  dil-e-shā.ir  pe  ayaañ  hotā  hai
saḳht  ḳhūñ-rez  jab  āshob-e-jahāñ  hotā  hai
nahīñ  mālūm  ye  insān  kahāñ  hotā  hai
jab  koī  hādsa-e-kaun-o-makāñ  hotā  hai
zarra  zarra  merī  jānib  nigarāñ  hotā  hai
jo  nazar-karda-e-sāhab-nazrāñ  hotā  hai
usī  dīvāne  ke  qadmoñ  pe  jahāñ  hotā  hai
jab  koī  ishq  meñ  barbād-e-jahāñ  hotā  hai
mujh  ko  mahsūs  ḳhud  apnā  hī  ziyāñ  hotā  hai
mutazalzal  hai  adab-gāh-e-mohabbat  kī  zamīñ
koī  dekhe  to  ye  hañgāma  kahāñ  hotā  hai
kahīñ  aisā  to  nahīñ  vo  bhī  ho  koī  āzār
tujh  ko  jis  chiiz  pe  rāhat  kā  gumāñ  hotā  hai
dil  ġhanī  ho  to  har  ik  ranj  bhī  dil  kī  rāhat
zehn  muflis  ho  to  har  suud  ziyāñ  hotā  hai
imtihāñ-gāh-e-mohabbat  meñ  na  rakkhe  vo  qadam
maut  ke  naam  se  jis  ko  ḳhafaqāñ  hotā  hai
yahī  vo  manzil-e-dushvār  hai  jis  manzil  meñ
ḳhatm  har  marhala-e-sūd-o-ziyāñ  hotā  hai
har  qadam  mārka-e-karb-o-balā  hai  darpesh
har  nafas  sāneha-e-marg-e-javāñ  hotā  hai
naaz  jis  ḳhāk-e-vatan  par  thā  mujhe  aah  'jigar'
usī  jannat  pe  jahannam  kā  gumāñ  hotā  hai