Ahmad Mushtaq

bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
bahtā aañsū ek jhalak meñ kitne ruup dikhā.egā
aañkh se ho kar gaal bhigo kar miTTī meñ mil jā.egā
bhūlne vāle! vaqt ke aivānoñ meñ kaun Thahartā hai
biitī shaam ke darvāze par kis ko bulāne aa.egā
āñkh-micholī khel rahā hai ik badlī se ik taarā
phir badlī kī yūrish hogī phir taarā chhup jā.egā
añdhiyāre ke ghor-nagar meñ ek kiran ābād huī
kis ko ḳhabar hai pahlā jhoñkā kitne phuul khilā.egā
phir ik lamha aan rukā hai vaqt ke suune sahrā meñ
pal bhar apnī chhab dikhlā kar lamhoñ meñ mil jā.egā
Top Urdushayar.com