kisī  sūrat  numūd-e-soz-e-pinhānī  nahīñ  jaatī
bujhā  jaatā  hai  dil  chehre  kī  tābānī  nahīñ  jaatī
nahīñ  jaatī  kahāñ  tak  fikr-e-insānī  nahīñ  jaatī
magar  apnī  haqīqat  aap  pahchānī  nahīñ  jaatī
nigāhoñ  ko  ḳhizāñ-nā-āshnā  banñā  to  aa  jaa.e
chaman  jab  tak  chaman  hai  jalva-sāmānī  nahīñ  jaatī
pashīmān-e-sitam  vo  dil  hī  dil  meñ  rahte  haiñ  lekin
ḳhushā  husne  ki  tarz-e-nā-pashīmānī  nahīñ  jaatī
mizāj-e-ahl-e-dil  be-kaif-o-mastī  rah  nahīñ  saktā
ki  jaise  nik.hat-e-gul  se  pareshānī  nahīñ  jaatī
sadāqat  ho  to  dil  sīnoñ  se  khiñchne  lagte  haiñ  vaa.iz
haqīqat  ḳhud  ko  manvā  letī  hai  maanī  nahīñ  jaatī
bulandī  chāhiye  insān  kī  fitrat  meñ  poshīda
koī  ho  bhes  lekin  shān-e-sultānī  nahīñ  jaatī
ga.e  vo  din  ki  dil  sarmāya-dār-e-dard-e-paiham  thā
magar  āñkhoñ  kī  ab  tak  mīr-sāmānī  nahīñ  jaatī
jise  raunaq  tire  qadmoñ  ne  de  kar  chhīn  lī  raunaq
vo  laakh  ābād  ho  us  ghar  kī  vīrānī  nahīñ  jaatī
vo  yuuñ  dil  se  guzarte  haiñ  ki  aahaT  tak  nahīñ  hotī
vo  yuuñ  āvāz  dete  haiñ  ki  pahchānī  nahīñ  jaatī
mujhe  to  kar  diyā  sairāb  saaqī  ne  mire  lekin
mirī  sairābiyoñ  kī  tishna-sāmānī  nahīñ  jaatī
nahīñ  ma.alūm  kis  aalam  meñ  husn-e-yār  dekhā  thā
koī  aalam  ho  lekin  dil  kī  hairānī  nahīñ  jaatī
jale  jaate  haiñ  baḌh  baḌh  kar  miTe  jaate  haiñ  gir  gir  kar
huzūr-e-sham.a  parvānoñ  kī  nādānī  nahīñ  jaatī
mohabbat  meñ  ik  aisā  vaqt  bhī  dil  par  guzartā  hai
ki  aañsū  ḳhushk  ho  jaate  haiñ  tuġhyānī  nahīñ  jaatī
'jigar'  vo  bhī  ze-sar-tā-pā  mohabbat  hī  mohabbat  haiñ
magar  un  kī  mohabbat  saaf  pahchānī  nahīñ  jaatī