Jigar Moradabadi

aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961

āñkhoñ meñ bas ke dil meñ samā kar chale ga.e

ḳhvābīda zindagī thī jagā kar chale ga.e

husn-e-azal shaan dikhā kar chale ga.e

ik vāqi.a yaad dilā kar chale ga.e

chehre tak āstīn vo kar chale ga.e

kyā raaz thā ki jis ko chhupā kar chale ga.e

rag rag meñ is tarah vo samā kar chale ga.e

jaise mujhī ko mujh se churā kar chale ga.e

merī hayāt-e-ishq ko de kar junūn-e-shauq

mujh ko tamām hosh banā kar chale ga.e

samjhā ke pastiyāñ mire auj-e-kamāl

apnī bulandiyāñ vo dikhā kar chale ga.e

apne faroġh-e-husn dikhlā ke vus.ateñ

mere hudūd-e-shauq baḌhā kar chale ga.e

har shai ko merī ḳhātir-e-nāshād ke liye

ā.īna-e-jamāl banā kar chale ga.e

aa.e the dil pyaas bujhāne ke vāste

ik aag vo aur lagā kar chale ga.e

aa.e the chashm-e-shauq hasrat nikālne

sar-tā-qadam nigāh banā kar chale ga.e

ab kārobār-e-ishq se fursat mujhe kahāñ

kaunain vo dard baḌhā kar chale ga.e

shukr-e-karam ke saath ye shikva bhī ho qubūl

apnā kyuuñ na mujh ko banā kar chale ga.e

lab thartharā ke rah ga.e lekin vo ai 'jigar'

jaate hue nigāh milā kar chale ga.e

Top Urdushayar.com