dil  meñ  kisī  ke  raah  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
kitnā  hasīñ  gunāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
duniyā-e-dil  tabāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
sarf-e-nigāh-o-āh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
fard-e-amal  siyāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
rahmat  ko  be-panāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
aisī  bhī  ik  nigāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
zarroñ  ko  mehr-o-māh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
mujh  se  lage  haiñ  ishq  kī  azmat  ko  chaar  chāñd
ḳhud  husn  ko  gavāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
daftar  hai  ek  māni-e-be-lafz-o-saut  kā
saada  sī  jo  nigāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
aage  qadam  baḌhā.eñ  jinheñ  sūjhtā  nahīñ
raushan  charāġh-e-rāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
māsūmi-e-jamāl  ko  bhī  jin  pe  rashk  hai
aise  bhī  kuchh  gunāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
tanqīd-e-husn  maslahat-e-ḳhās-e-ishq  hai
ye  jurm  gaah  gaah  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
uThtī  nahīñ  hai  aañkh  magar  us  ke  rū-ba-rū
nādīda  ik  nigāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
gulshan-parast  huuñ  mujhe  gul  hī  nahīñ  aziiz
kāñToñ  se  bhī  nibāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
yuuñ  zindagī  guzār  rahā  huuñ  tire  baġhair
jaise  koī  gunāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ
mujh  se  adā  huā  hai  'jigar'  justujū  kā  haq
har  zarre  ko  gavāh  kiye  jā  rahā  huuñ  maiñ