ab  to  ye  bhī  nahīñ  rahā  ehsās
dard  hotā  hai  yā  nahīñ  hotā
ishq  jab  tak  na  kar  chuke  rusvā
aadmī  kaam  kā  nahīñ  hotā
TuuT  paḌtā  hai  daf.atan  jo  ishq
besh-tar  der-pā  nahīñ  hotā
vo  bhī  hotā  hai  ek  vaqt  ki  jab
mā-sivā  mā-sivā  nahīñ  hotā
haa.e  kyā  ho  gayā  tabī.at  ko
ġham  bhī  rāhat-fazā  nahīñ  hotā
dil  hamārā  hai  yā  tumhārā  hai
ham  se  ye  faisla  nahīñ  hotā
jis  pe  terī  nazar  nahīñ  hotī
us  kī  jānib  ḳhudā  nahīñ  hotā
maiñ  ki  be-zār  umr  bhar  ke  liye
dil  ki  dam-bhar  judā  nahīñ  hotā
vo  hamāre  qarīb  hote  haiñ
jab  hamārā  patā  nahīñ  hotā
dil  ko  kyā  kyā  sukūn  hotā  hai
jab  koī  aasrā  nahīñ  hotā
ho  ke  ik  baar  sāmnā  un  se
phir  kabhī  sāmnā  nahīñ  hotā