ik  lafz-e-mohabbat  kā  adnā  ye  fasānā  hai
simTe  to  dil-e-āshiq  phaile  to  zamānā  hai
ye  kis  kā  tasavvur  hai  ye  kis  kā  fasānā  hai
jo  ashk  hai  āñkhoñ  meñ  tasbīh  kā  daanā  hai
dil  sañg-e-malāmat  kā  har-chand  nishānā  hai
dil  phir  bhī  mirā  dil  hai  dil  hī  to  zamānā  hai
ham  ishq  ke  māroñ  kā  itnā  hī  fasānā  hai
rone  ko  nahīñ  koī  hañsne  ko  zamānā  hai
vo  aur  vafā-dushman  māneñge  na  maanā  hai
sab  dil  kī  sharārat  hai  āñkhoñ  kā  bahānā  hai
shā.ir  huuñ  maiñ  shā.ir  huuñ  merā  hī  zamānā  hai
fitrat  mirā  ā.īnā  qudrat  mirā  shānā  hai
jo  un  pe  guzartī  hai  kis  ne  use  jaanā  hai
apnī  hī  musībat  hai  apnā  hī  fasānā  hai
kyā  husn  ne  samjhā  hai  kyā  ishq  ne  jaanā  hai
ham  ḳhāk-nashīnoñ  kī  Thokar  meñ  zamānā  hai
āġhāz-e-mohabbat  hai  aanā  hai  na  jaanā  hai
ashkoñ  kī  hukūmat  hai  aahoñ  kā  zamānā  hai
āñkhoñ  meñ  namī  sī  hai  chup  chup  se  vo  baiThe  haiñ
nāzuk  sī  nigāhoñ  meñ  nāzuk  sā  fasānā  hai
ham  dard-ba-dil  nālāñ  vo  dast-ba-dil  hairāñ
ai  ishq  to  kyā  zālim  terā  hī  zamānā  hai
yā  vo  the  ḳhafā  ham  se  yā  ham  haiñ  ḳhafā  un  se
kal  un  kā  zamāna  thā  aaj  apnā  zamānā  hai
ai  ishq-e-junūñ-pesha  haañ  ishq-e-junūñ-pesha
aaj  ek  sitamgar  ko  hañs  hañs  ke  rulānā  hai
thoḌī  sī  ijāzat  bhī  ai  bazm-gah-e-hastī
aa  nikle  haiñ  dam-bhar  ko  ronā  hai  rulānā  hai
ye  ishq  nahīñ  āsāñ  itnā  hī  samajh  liije
ik  aag  kā  dariyā  hai  aur  Duub  ke  jaanā  hai
ḳhud  husn-o-shabāb  un  kā  kyā  kam  hai  raqīb  apnā
jab  dekhiye  ab  vo  haiñ  ā.īna  hai  shānā  hai
tasvīr  ke  do  ruḳh  haiñ  jaañ  aur  ġham-e-jānāñ
ik  naqsh  chhupānā  hai  ik  naqsh  dikhānā  hai
ye  husn-o-jamāl  un  kā  ye  ishq-o-shabāb  apnā
jiine  kī  tamannā  hai  marne  kā  zamānā  hai
mujh  ko  isī  dhun  meñ  hai  har  lahza  basar  karnā
ab  aa.e  vo  ab  aa.e  lāzim  unheñ  aanā  hai
ḳhuddārī-o-mahrūmī  mahrūmī-o-ḳhuddārī
ab  dil  ko  ḳhudā  rakkhe  ab  dil  kā  zamānā  hai
ashkoñ  ke  tabassum  meñ  aahoñ  ke  tarannum  meñ
ma.asūm  mohabbat  kā  ma.asūm  fasānā  hai
aañsū  to  bahut  se  haiñ  āñkhoñ  meñ  'jigar'  lekin
bañdh  jaa.e  so  motī  hai  rah  jaa.e  so  daanā  hai