Jigar Moradabadi

fikr-e-manzil hai na hosh-e-jada-e-manzil mujhe

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jāda-e-manzil mujhe
jā rahā huuñ jis taraf le jā rahā hai dil mujhe
ab zabāñ bhī de adā-e-shukr ke qābil mujhe
dard baḳhshā hai agar tū ne bajā.e-dil mujhe
yuuñ taḌap kar dil ne taḌpāyā sar-e-mahfil mujhe
us ko qātil kahne vaale kah uThe qātil mujhe
ab kidhar jā.ūñ batā ai jazba-e-kāmil mujhe
har taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
rok saktī ho to baḌh kar rok le manzil mujhe
har taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
jaan dī ki hashr tak maiñ huuñ mirī tanhā.iyāñ
haañ mubārak fursat-e-nazzāra-e-qātil mujhe
har ishāre par hai phir bhī gardan-e-taslīm ḳham
jāntā huuñ saaf dhoke de rahā hai dil mujhe
jā bhī ai nāseh kahāñ kā suud aur kaisā ziyāñ
ishq ne samjhā diyā hai ishq kā hāsil mujhe
maiñ azal se sub.h-e-mahshar tak farozāñ hī rahā
husn samjhā thā charāġh-e-kushta-e-mahfil mujhe
ḳhūn-e-dil rag rag meñ jam kar rah gayā is vahm se
baḌh ke siine se na lipTā le mirā qātil mujhe
kaisā qatra kaisā dariyā kis kā tūfāñ kis kī mauj
tū jo chāhe to Dubo de ḳhushkī-e-sāhil mujhe
phūñk de ai ġhairat-e-soz-e-mohabbat phūñk de
ab samajhtī haiñ vo nazreñ rahm ke qābil mujhe
toḌ kar baiThā huuñ rāh-e-shauq meñ pā-e-talab
dekhnā hai jazba-e-be-tābī-e-manzil mujhe
ai hujūm-e-nā-umīdī shād-bāsh-o-zinda-bāsh
tū ne sab se kar diyā begāna-o-ġhāfil mujhe
dard-e-mahrūmī sahī ehsās-e-nākāmī sahī
us ne samjhā to bahar-sūrat kisī qābil mujhe
ye bhī kyā manzar hai baḌhte haiñ na rukte haiñ qadam
tak rahā huuñ duur se manzil ko maiñ manzil mujhe
Top Urdushayar.com