tama.a  kā  daur  hai  hātim  atā  kar
najaf  ke  shaah  sā  hākim  atā  kar
zamīñ  par  ġhāsiboñ  kī  hai  hukūmat
zamīñ  ko  mūsī-e-'kāzim'  atā  kar
tirī  dhartī  pe  terā  adl  chāheñ
nizām-e-adl  kā  nāzim  atā  kar
jo  bhūkoñ  ko  khilā.e  narm  roTī
hameñ  maulā  vahī  hāshim  atā  kar
mile  shā.ir  ko  rāz-e-kun-fakūnī
alī  ke  ilm  kā  rāqim  atā  kar
jo  kaaTe  marhab-o-antar  ke  sar  ko
usī  karrār  sā  jāsim  atā  kar
tujhe  ḳhush  aa.e  terī  lā-makānī
mujhe  merā  patā  lāzim  atā  kar
har  ik  nau-shāh  ko  'naqqāsh'  ke  rab
shu.ūr-e-hazrat-e-'qāsim'  atā  kar