ḳhāmosh  haiñ  lab  aur  āñkhoñ  se  aañsū  haiñ  ki  paiham  bahte  haiñ
ham  sāmne  un  ke  baiThe  haiñ  aur  qissa-e-furqat  kahte  haiñ
ab  husn-o-ishq  meñ  farq  nahīñ  ab  donoñ  kī  ik  hālat  hai
maiñ  un  ko  dekhtā  rahtā  huuñ  vo  mujh  ko  dekhte  rahte  haiñ
un  kī  vo  hayā  vo  ḳhāmoshī  apnī  vo  mohabbat  kī  nazreñ
vo  sunñe  ko  sab  kuchh  sunte  haiñ  ham  kahne  ko  sab  kuchh  kahte  haiñ
is  shauq-e-farāvāñ  kī  yārab  āḳhir  koī  had  bhī  hai  ki  nahīñ
inkār  kareñ  vo  yā  va.ada  ham  rāsta  dekhte  rahte  haiñ
hamdard  nahīñ  hamrāz  nahīñ  kis  se  kahiye  kyuuñ  kar  kahiye
jo  dil  pe  guzartī  rahtī  hai  jo  jaan  pe  sadme  sahte  haiñ
aa  dekh  ki  zālim  furqat  meñ  kyā  haal  mirā  behāl  huā
aahoñ  se  sharāre  jhaḌte  haiñ  āñkhoñ  se  dariyā  bahte  haiñ
'akbar'  shāyad  dil  kho  baiThe  vo  jalse  vo  ahbāb  nahīñ
tanhā  ḳhāmosh  se  phirte  haiñ  har  vaqt  udaas  se  rahte  haiñ