be-mehrī-e-qazā  ke  satā.e  hue  haiñ  ham
ilzām  zindagī  kā  uThā.e  hue  haiñ  ham
husn-e-sulūk-e-yār  kā  e.ajāz  kyā  kaheñ
sau  daaġh  ek  dil  pe  uThā.e  hue  haiñ  ham
ab  kis  se  le  qisās  zamāne  meñ  munsifī
apne  lahū  meñ  aap  nahā.e  hue  haiñ  ham
patthar  ke  ik  sanam  ko  ba-sad  nāz-o-tumturāq
shīshe  ke  pairahan  meñ  chhupā.e  hue  haiñ  ham
jhuktī  haiñ  kaj-kulāhoñ  kī  peshāniyāñ  jahāñ
us  āshiyāñ  meñ  sar  ko  jhukā.e  hue  haiñ  ham
hairāñ  haiñ  vo  ki  aise  havasnāk  daur  meñ
tahzīb-e-ishq  ab  bhī  nibhā.e  hue  haiñ  ham
ashkoñ  ke  ghup  gharoñ  meñ  thā  aaseb  kā  ḳhatar
āñkhoñ  ke  diip  yuuñ  na  jalā.e  hue  haiñ
is  TūTte  badan  meñ  vo  Thahrāv  hai  sahar
janmoñ  se  bār-e-hijr  uThā.e  hue  haiñ  ham
hastī  ke  kārḳhāna-e-āhan  meñ  ai  'sahar'
zanjīr-e-jāñ  ko  ġham  se  lagā.e  hue  haiñ  ham