apnī  jāñ-bāzī  kā  jis  dam  imtihāñ  ho  jā.egā
ḳhanjar-e-saffāk  par  jauhar  ayaañ  ho  jā.egā
āh-e-sozāñ  kā  agar  ūñchā  dhuāñ  ho  jā.egā
āsmāñ  ik  aur  zer-e-āsmāñ  ho  jā.egā
kuchh  samajh  kar  us  mah-e-ḳhūbī  se  kī  thī  dostī
ye  na  samjhe  the  ki  dushman  āsmāñ  ho  jā.egā
le  ḳhabar  bīmār-e-ġham  kī  varna  ai  rashk-e-masīh
terī  furqat  meñ  firāq-e-jism-o-jāñ  ho  jā.egā
ḳhaak  kar  degā  mujhe  āḳhir  siyah-chashmoñ  kā  ishq
jism-e-ḳhākī  gard-e-pā-e-āhu.vāñ  ho  jā.egā
jab  adā  se  vo  karegā  qatl  mujh  ko  ai  'asar'
kushta-e-shamshīr-e-hairat  ik  jahāñ  ho  jā.egā