kyuuñ  dekhiye  na  husn-e-ḳhudā-dād  kī  taraf
lāzim  nazar  hai  gulshan-e-ījād  kī  taraf
paa.e  jo  tere  gosha-e-dastār  kī  havā
qumrī  uḌī  na  turra-e-shamshād  kī  taraf
be-asl  ai  falak  nazar  aatā  hai  tū  mujhe
kartā  huuñ  ġhaur  jab  tirī  buniyād  kī  taraf
gulshan  meñ  kaun  bulbul-e-nālāñ  ko  de  panāh
gulchīñ  o  bāġhbāñ  bhī  haiñ  sayyād  kī  taraf
mazlūm  huuñ  magar  nahīñ  miltā  koī  gavāh
haiñ  ahl-e-hashr  is  sitam-ījād  kī  taraf
nādāñ  kahīñ  panāh  nahīñ  maut  se  tujhe
kyā  dekhtā  hai  qila-e-faulād  kī  taraf
ham-jins  ko  zarūr  hai  ham-jins  kā  ḳhayāl
raġhbat  na  ho  bashar  ko  parī-zād  kī  taraf
mazmūñ  kamar  kā  haath  na  aayā  jo  dahr  meñ
jaanā  paḌā  mujhe  adam-ābād  kī  taraf
taklīf  jū-e-shīr  kī  de  kar  jo  thī  ḳhajil
shīrīñ  na  dekh  saktī  thī  farhād  kī  taraf
dīvāngī  kā  zor  tamāshā  hai  ai  parī
fassād  kī  nigāh  hai  haddād  kī  taraf
gardan  jhukā.e  shauq-e-shahādat  meñ  huuñ  ravāñ
dil  le  chalā  hai  kūcha-e-jallād  kī  taraf
umīd-vār  chashm-e-ināyat  kā  hai  ġharīb
dekho  to  ik  nazar  dil-e-nāshād  kī  taraf
nāseh  agar  sitam  na  saheñ  ham  to  kyā  kareñ
dil  dauḌtā  hai  yaar  kī  be-dād  kī  taraf
bulbul  samajh  rahī  hai  ki  gulhā-e-ḳhanda-rū
rakhte  haiñ  kaan  nāla-o-fariyād  kī  taraf
fazl-e-ḳhudā  se  apnī  tabī.at  hai  be-niyāz
rū-e-talab  kabhī  na  huā  daad  kī  taraf
vaa.iz  se  sun  ke  qāmat-e-tauba  kī  ḳhūbiyāñ
dauḌā  ḳhayāl  ik  qad-e-āzād  kī  taraf
bhūle  hue  haiñ  saare  zamāne  kī  nemateñ
mailān-e-dil  jinheñ  hai  terī  yaad  kī  taraf
yā  shāh-e-jinn-o-ins  'asar'  par  bhī  ik  nazar
rakhtā  hai  aañkh  aap  kī  imdād  kī  taraf