mahfil  meñ  us  pe  raat  jo  tū  mehrbāñ  na  thā
aisā  subuk  thā  ġhair  ki  kuchh  bhī  girāñ  na  thā
vasl-e-butāñ  meñ  ḳhauf-e-firāq-e-butāñ  na  thā
goyā  ki  apne  sar  pe  kabhī  āsmāñ  na  thā
pesh-e-raqīb  pursish-e-dil  tum  ne  ḳhuub  kī
dushman  thā  parda-dār  na  thā  rāz-dāñ  na  thā
ibrat  dilā  chukī  thī  hamārī  sitam-kashī
mutlaq  shab-e-visāl  adū  shādmāñ  na  thā
bigḌe  hue  raqīb  se  vo  aa.e  mere  ghar
is  husn-e-ittifāq  kā  koī  gumāñ  na  thā
sargarm-e-nāla  kyuuñ  rahī  bulbul  bahār  meñ
kyā  ham  na  the  asiir  ki  zauq-e-fuġhāñ  na  thā
sarshār-e-be-ḳhudī  the  'asar'  bazm-e-yār  meñ
kyā  jāneñ  ham  raqīb  kahāñ  thā  kahāñ  na  thā