Imdad Imam Asar

jab KHuda ko jahan basana tha

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933

jab ḳhudā ko jahāñ basānā thā

tujh ko aisā nahīñ banānā thā

mere ghar terā aanā jaanā thā

vo bhī ai yaar kyā zamāna thā

phir ga.e aap mere kūche se

do qadam par ġharīb-ḳhāna thā

jo na samjhe ki āshiqī kyā hai

us se be-kār dil lagānā thā

aa.e the baḳht āzmāne ham

aap ko teġh āzmānā thā

ai sitamgār qabr-e-āshiq par

chand aañsū tujhe bahānā thā

ne rahne diyā pas-e-dīvār

varna apnā kahāñ Thikānā thā

ab jahāñ par hai shaiḳh masjid

pahle us sharāb-ḳhāna thā

daḳhl ahl-e-riyā na rakhte the

pāk-bāzoñ aanā jaanā thā

bazm meñ ġhair ko na bulvāte

aap ko jab hameñ bulānā thā

vo chaman ab ḳhizāñ-rasīda hai

bulbuloñ jahāñ tarāna thā

sunte haiñ vo shajar bhī suukh gayā

jis pe sayyād āshiyāna thā

dil na dete use to kyā karte

ai 'asar' dukh hameñ uThānā thā

Top Urdushayar.com