jhūTe  va.adoñ  par  tumhārī  jaa.eñ  kyā
jānte  haiñ  tum  ko  dhokā  khā.eñ  kyā
pursish  apne  qatl  kī  hone  lagī
dāvar-e-mahshar  ko  ham  batlā.eñ  kyā
un  kī  mahfil  hairat-e-ālam  sahī
ġhair  ham-pahlū  jahāñ  ho  jaa.eñ  kyā
ḳhūn-e-dil  khāne  se  kuchh  inkār  hai
jab  nahīñ  ai  lazzat-e-ġham  khā.eñ  kyā
nāseh-e-mushfiq  ko  samjhānā  paḌā
is  samajh  par  tum  ko  vo  samjhā.eñ  kyā
ġhair  ne  rah  kar  jahannam  kar  diyā
haiñ  musalmāñ  tere  ghar  ham  aa.eñ  kyā
ham  se  un  se  baat  kyā  baaqī  rahī
ham  kaheñ  kyā  aur  vo  farmā.eñ  kyā
hai  pashemānī  meñ  iqrār-e-ḳhatā
qatl  kar  ke  mujh  ko  vo  pachhtā.eñ  kyā
ā.eñge  phir  bhī  vahī  ishrat  ke  din
inqilāb-e-dahr  se  ghabrā.eñ  kyā
mar  hī  kar  uTTheñge  tere  dar  se  ham
aa  ke  jab  baiThe  to  phir  uTh  jaa.eñ  kyā
dil  ko  kho.e  ek  muddat  ho  ga.ī
ai  'asar'  ab  DhūñDne  se  paa.eñ  kyā