zabān-e-hāl  se  ham  shikva-e-bedād  karte  haiñ
dahān-e-zaḳhm-e-qātil  dam-ba-dam  fariyād  karte  haiñ
samajh  kar  kyā  asīrān-e-qafas  fariyād  karte  haiñ
tavajjoh  bhī  kahīñ  fariyād  par  sayyād  karte  haiñ
azāb-e-qabr  se  paate  haiñ  rāhat  ishq  ke  mujrim
pas-e-murdāñ  jafā.eñ  yaar  kī  jab  yaad  karte  haiñ
na  kah  bahr-e-ḳhudā  tū  bandagān-e-ishq  ko  kāfir
butoñ  kī  yaad  meñ  zāhid  ḳhudā  ko  yaad  karte  haiñ
zarā  sayyād  chal  kar  dekh  tū  kyā  haal  hai  un  kā
asīrān-e-qafas  fariyād  par  fariyād  karte  haiñ
butān-e-sañg-dil  ke  haath  se  dil  hī  nahīñ  nālāñ
barābar  dair  meñ  nāqūs  bhī  fariyād  karte  haiñ
banāte  haiñ  hazāroñ  zaḳhm-e-ḳhandāñ  ḳhanjar-e-ġham  se
dil-e-nāshād  ko  ham  is  tarah  pur-shād  karte  haiñ
mile  lazzat  jo  iizā  se  to  baaz  aate  haiñ  iizā  se
sitam-ījād  haiñ  tarz-e-sitam  ījād  karte  haiñ
'asar'  ko  dekh  kar  kyā  ruuh  ko  sadma  pahuñchtā  hai
ḳhudā  samjhe  butoñ  se  kis  qadar  be-dād  karte  haiñ