jafā.eñ  hotī  haiñ  ghuTtā  hai  dam  aisā  bhī  hotā  hai
magar  ham  par  jo  hai  terā  sitam  aisā  bhī  hotā  hai
adū  ke  aate  hī  raunaq  sidhārī  terī  mahfil  kī
ma.āz-allāh  insāñ  kā  qadam  aisā  bhī  hotā  hai
rukāvaT  hai  ḳhalish  hai  chheḌ  hai  iizā  pe  iizā  hai
sitam  ahl-e-vafā  par  dam-ba-dam  aisā  bhī  hotā  hai
hasīnoñ  kī  jafā.eñ  bhī  talavvun  se  nahīñ  ḳhālī
sitam  ke  ba.ad  karte  haiñ  karam  aisā  bhī  hotā  hai
dil-e-mahjūr  āḳhir  intihā  hai  har  nahūsat  kī
kabhī  sa.aden  hote  haiñ  baham  aisā  bhī  hotā  hai
na  kar  shikva  hamārī  be-sabab  kī  bad-gumānī  kā
mohabbat  meñ  tire  sar  kī  qasam  aisā  bhī  hotā  hai
na  ho  dard-e-judā.ī  se  jo  vāqif  us  ko  kyā  kahiye
hameñ  vo  dekh  kar  kahte  haiñ  ġham  aisā  bhī  hotā  hai
butoñ  ke  milne-julne  par  na  jaanā  ai  dil-e-nādāñ
baḌhā  kar  rabt  kar  dete  haiñ  kam  aisā  bhī  hotā  hai
hameñ  bazm-e-adū  meñ  vo  bulāte  haiñ  tamannā  se
karam  aisā  bhī  hotā  hai  sitam  aisā  bhī  hotā  hai
jagah  dī  mujh  ko  ka.abe  meñ  ḳhudā-e-pāk  ne  zāhid
tū  kahtā  thā  ki  maqbūl-e-haram  aisā  bhī  hotā  hai
huā  kartā  hai  sab  kuchh  ai  'asar'  us  kī  ḳhudā.ī  meñ
kareñ  da.avā  ḳhudā.ī  kā  sanam  aisā  bhī  hotā  hai