shaiḳh  ke  haal  par  ta.assuf  hai
shakl-e-rozī  kī  ik  tasavvuf  hai
jis  kī  auqāt  ho  tasavvuf  par
us  ke  is  rozgār  par  tuf  hai
jin  ko  da.avā  hai  haq-shanāsī  kā
un  se  bande  ko  bhī  ta.āruf  hai
na  to  irfāñ  ke  un  meñ  haiñ  andāz
ma.arifat  se  na  kuchh  tasharruf  hai
kaisī  ta.amīl-e-hukm  ḳhāliq  kī
kaisā  islām  sad-ta.assuf  hai
kaun  se  amar-e-dīñ  ko  koī  kahe
diin  kā  diin  hī  tasavvuf  hai
dīn-e-ahmad  se  ho  jo  bāhar  baat
vahī  is  ahd  meñ  tasavvuf  hai
maal  jo  kuchh  hai  bevaqūfoñ  kā
shaiḳh  kā  maal  be-takalluf  hai
hai  'asar'  ye  tasarruf-e-be-jā
aur  koī  nahīñ  tasarruf  hai