kisī  kā  dil  ko  rahā  intizār  saarī  raat
falak  ko  dekhā  kiye  baar  baar  saarī  raat
taḌap  taḌap  ke  tamannā  meñ  karvaTeñ  badlīñ
na  paayā  dil  ne  hamāre  qarār  saarī  raat
idhar  to  sham.a  thī  giryāñ  udhar  the  ham  giryāñ
isī  tarah  pe  rahe  ashk-bār  saarī  raat
ḳhayāl-e-sham-ruḳh-e-yār  meñ  jale  tā-sub.h
liyā  qarār  na  parvāna-vār  saarī  raat
na  pūchh  soz-e-judā.ī  ko  ham  se  ai  hamdam
jalā  kiyā  ye  dil-e-dāġhdār  saarī  raat
mizha  ke  ishq  se  aa.ī  na  niiñd  āñkhoñ  meñ
nazar  khaTaktī  rahī  ban  ke  ḳhaar  saarī  raat
ḳhayāl-e-zulf-e-siyah  meñ  bahā  kiye  aañsū
bañdhā  rahā  mire  rone  kā  taar  saarī  raat
na  pūchh  ham  se  'asar'  raat  kis  tarah  kaaTī
ajab  tarah  kā  rahā  intishār  saarī  raat