yūñhī  uljhī  rahne  do  kyuuñ  aafat  sar  par  laate  ho
dil  kī  uljhan  baḌhtī  hai  jab  zulfoñ  ko  suljhāte  ho
chhup  chhup  kar  tum  raat  ko  sāhib  ġhairoñ  ke  ghar  jaate  ho
kaisī  hai  ye  baat  kaho  to  kyūñ-kar  muñh  dikhlāte  ho
sunte  ho  kab  baat  kisī  kī  apnī  haT  par  rahte  ho
hazrat-e-dil  tum  apne  kiye  par  āḳhir  ko  pachhtāte  ho
muddat  par  to  aa.e  ho  ham  dekh  leñ  tum  ko  jī  bhar  ke
aa.e  ho  to  Thahro  sāhib  roz  yahāñ  kyā  aate  ho
kaisā  aanā  kaisā  jaanā  mere  ghar  kyā  aaoge
ġhairoñ  ke  ghar  jaane  se  tum  fursat  kis  din  paate  ho
āñkheñ  jhapkī  jaatī  haiñ  matvālī  kī  sī  sūrat  hai
jaage  kis  kī  sohbat  meñ  jo  niiñd  ke  itne  maate  ho
dil  se  'asar'  kyā  kahte  ho  hai  jaan  kā  saudā  ishq-e-butāñ
tum  bhī  to  dīvāne  ho  dīvāne  ko  samjhāte  ho