Thikānā  hai  kahīñ  jaa.eñ  kahāñ  nā-chār  baiThe  haiñ
ijāzat  jab  nahīñ  dar  kī  pas-e-dīvār  baiThe  haiñ
ye  matlab  hai  ki  mahfil  meñ  manā.e  aur  man  jaa.eñ
vo  mere  chheḌne  ko  ġhair  se  bezār  baiThe  haiñ
ḳharīdār  aa  rahe  haiñ  har  taraf  se  naqd-e-jāñ  le  kar
vo  yūsuf  ban  ke  bikne  ko  sar-e-bāzār  baiThe  haiñ
achānak  le  na  luuñ  bosa  ye  khaTkā  un  ke  dil  meñ  hai
mire  pahlū  meñ  baiThe  haiñ  magar  hoshyār  baiThe  haiñ
tumhāre  āshiqoñ  meñ  be-qarārī  kyā  hī  phailī  hai
jidhar  dekho  jigar  thāme  hue  do-chār  baiThe  haiñ
qayāmat  hai  sitam  murde  pe  bhī  un  ko  gavārā  hai
mirā  lāsha  uThāne  ke  liye  aġhyār  baiThe  haiñ
lab-e-bām  aa  ke  dikhlā  vo  tamāshā  tuur  kā  tum  bhī
baḌe  mauqe  se  dar  par  tālib-e-dīdār  baiThe  haiñ
'asar'  kyūñ-kar  na  jānūñ  us  ke  dar  ko  qibla-e-ālam
usī  jānib  ka.ī  ruḳh  kāfir  o  dīñ-dār  baiThe  haiñ