rote  haiñ  sun  ke  kahānī  merī
kaash  sunte  vo  zabānī  merī
kaT  gayā  ġhair  mare  nāloñ  se
vāh-rī  saif-zabānī  merī
aa.ina  dekh  ke  farmāte  haiñ
kis  ġhazab  kī  hai  javānī  merī
phir  tumheñ  niiñd  nahīñ  aane  kī
kahīñ  sun  lī  jo  kahānī  merī
baar  kiyā  paañv  tirī  mahfil  meñ
hai  subuk  tujh  pe  girānī  merī
hama-tan-gosh  bane  sunte  haiñ
ġhair  kahtā  hai  kahānī  merī
yaad  ā.ūñgā  jafā-kāroñ  ko
be-nishānī  hai  nishānī  merī
iltijā  ek  muqaddar  do  the
ġhair  kī  maanī  na  maanī  merī
hashr  meñ  kuchh  na  huā  mujh  se  savāl
vāh-rī  hech-madānī  merī
ab  uTheñge  tire  dar  se  mar  kar
kabhī  uThtī  nahīñ  Thānī  merī
mere  ash.ār  fuġhān-e-dil  haiñ
qadr  kartā  hai  'fuġhānī'  merī
ḳhusrav-e-mulk-e-suḳhan-dānī  huuñ
daad  hai  bāj-satānī  merī
dil  meñ  poshīda  rahegī  kab  tak
ātish-e-shauq-e-nihānī  merī
tār-e-gesū  se  nazar  jā  uljhī
dekhnā  resha-davānī  merī
dil  kī  hālat  se  ḳhabar  detī  hai
'asar'  āshufta-bayānī  merī