dil  sañg  nahīñ  hai  ki  sitamgar  na  bhar  aatā
karte  na  agar  zabt  to  muñh  tak  jigar  aatā
tū  fātiha-ḳhvānī  ko  agar  qabr  par  aatā
marne  se  mire  ġhair  kā  matlab  na  bar  aatā
ai  qais  agar  dasht  meñ  tū  raah  par  aatā
sau  baar  tujhe  nāqa-e-lailā  nazar  aatā
taḳhsīs  na  thī  tuur  kī  ai  hazrat-e-mūsā
har  sañg  meñ  vo  nūr-e-tajallī  nazar  aatā
hotī  chaman-ārā-e-azal  kī  jo  mashiyyat
apne  shajar-e-ishq  kā  vaqt-e-samar  aatā
be-kār  na  kar  raat  basar  muntazarī  meñ
aanā  use  hotā  to  vo  ab  tak  'asar'  aatā