dil  se  kyā  pūchhtā  hai  zulf-e-girah-gīr  se  pūchh
apne  dīvāne  kā  ahvāl  tū  zanjīr  se  pūchh
merī  jāñ-bāzī  ke  jauhar  nahīñ  raushan  tujh  par
kuchh  khule  haiñ  tirī  shamshīr  pe  shamshīr  se  pūchh
pursish-e-hāl  ko  jaatī  hai  kahāñ  ai  lailā
qais  kī  shakl  hai  kyā  qais  kī  tasvīr  se  pūchh
vāqif-e-rāz  nahīñ  pīr-e-muġhāñ  sā  koī
hai  dilā  pūchhnā  jo  kuchh  tujhe  us  piir  se  pūchh
vāqif-e-lazzat-e-āzār  nahīñ  har  koī
kyā  mazā  ġham  meñ  hai  ye  āshiq-e-dil-gīr  se  pūchh
garmī-e-shauq  nahīñ  hai  to  dahan  meñ  ai  sham.a
kis  liye  terī  zabāñ  letā  hai  gul-gīr  se  pūchh
ulTī  kyuuñ  paḌtī  hai  tadbīr  ye  ham  kyā  jāneñ
kaun  ulaT  detā  hai  is  raaz  ko  tadbīr  se  pūchh
mujh  se  ai  dāvar-e-mahshar  hai  ye  pursish  kaisī
pūchhnā  hai  tujhe  jo  kuchh  mirī  taqdīr  se  pūchh
yuuñ  to  ustād-e-fan-e-sher  bahut  se  guzre
kis  ko  kahte  haiñ  ġhazal-goī  'asar'  'mīr'  se  pūchh