ġham  nahīñ  mujh  ko  jo  vaqt-e-imtihāñ  maarā  gayā
ḳhush  huuñ  tere  haath  se  ai  jān-e-jāñ  maarā  gayā
teġh-e-abrū  se  dil-e-āshiq  ko  miltī  kyā  panāh
jo  chaḌhā  muñh  par  ajal  ke  be-gumāñ  maarā  gayā
manzil-e-ma.ashūq  tak  pahuñchā  salāmat  kab  koī
rahzanoñ  se  kārvāñ  kā  kārvāñ  maarā  gayā
dostī  kī  tum  ne  dushman  se  ajab  tum  dost  ho
maiñ  tumhārī  dostī  meñ  mehrbāñ  maarā  gayā
zahr  se  kuchh  kam  na  thī  dāvat  mirī  ġhairoñ  ke  saath
kyā  ġhazab  hai  ghar  balā  kar  mehmāñ  maarā  gayā
dasht-e-ġhurbat  rañj-e-tanhā.ī  hujūm-e-dard-o-yās
in  balāoñ  meñ  tirā  āshiq  kahāñ  maarā  gayā
kyā  halāk-e-ishq  tere  gesuoñ  kā  thā  'asar'
sumbulistāñ  ho  gayā  hai  do-jahāñ  maarā  gayā