Ahmad Mushtaq

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
chāñd bhī niklā sitāre bhī barābar nikle
mujh se achchhe to shab-e-ġham ke muqaddar nikle
shaam hote hī barasne lage kaale bādal
sub.h-dam log darīchoñ meñ khule sar nikle
kal hī jin ko tirī palkoñ pe kahīñ dekhā thā
raat usī tarah ke taare mirī chhat par nikle
dhuup sāvan kī bahut tez hai dil Dūbtā hai
us se kah do ki abhī ghar se na bāhar nikle
pyaar kī shāḳh to jaldī hī samar le aa.ī
dard ke phuul baḌī der meñ jā kar nikle
dil-e-hañgāma-talab ye bhī ḳhabar hai tujh ko
muddateñ ho ga.iiñ ik shaḳhs ko bāhar nikle
Top Urdushayar.com