nāsehā  fā.eda  kyā  hai  tujhe  bahkāne  se
kār-e-hushyār  kahīñ  bhī  huā  dīvāne  se
na  ġharaz  kaabe  se  matlab  hai  na  but-ḳhāne  se
hai  faqat  zauq  mujhe  yaar  ke  ghar  jaane  se
vo  uThā  kyā  ki  abr-e-karam  pahlū  se
chashm  se  chashm  bahe  shoḳh  ke  uTh  jaane  se
sozish-e-dil  na  yaqīñ  ho  to  jigar  chiir  ke  dekh
aable  lākhoñ  paḌe  tere  hī  ġham  khāne  se