karūñ  shikva  na  kyuuñ  charḳh-e-kuhan  se
ki  furqat  Daalī  tujh  se  gul-badan  se
tirī  furqat  kā  ye  sadma  paḌā  yaar
zabāñ  nā-āshnā  ho  ga.ī  suḳhan  se
dam-e-takfīn  bhī  gar  yaar  aave
to  nikleñ  haath  bāhar  ye  kafan  se
khilā  hai  taḳhta-e-lāla-jigar  meñ
hameñ  kyā  kaam  ab  sair-e-chaman  se
na  pahuñchā  gosh  tak  ik  tere  haihāt
hazāroñ  naala  niklā  is  dahan  se
dimāġh-e-jāñ  meñ  hai  ye  bū-e-kākul
ki  nafrat  ho  ga.ī  mushk-e-ḳhutan  se
jigar  par  laakh  teshe  ġham  ke  nit  haiñ
rahī  nisbat  hameñ  kyā  kohkan  se
'surūr'  aatā  hai  jab  vo  yād-dilbar
to  jaañ  bas  merī  ho  jaatī  hai  san  se