kis  tarah  par  aise  bad-ḳhū  se  safā.ī  kījiye
jis  kī  tīnat  meñ  yahī  ho  kaj-adā.ī  kījiye
jab  masīhā  kī  ho  marzī  kaj-adā.ī  kījiye
is  jagah  kyā  dard-e-dil  kī  phir  davā.ī  kījiye
us  se  khiñch  rahtā  huuñ  jab  tab  ye  kahe  hai  mujh  se  dil
āshiqī  yā  kījiye  yā  mīrzā.ī  kījiye
gar  ye  dil  apnā  kahe  meñ  apne  hove  nāsehā
baiTh  kar  kunj-e-qanā.at  meñ  ḳhudā.ī  kījiye
kyā  yahī  thī  shart  kuchh  insāf  kī  ai  tund-ḳhū
jo  bhalā  ho  aap  se  us  se  burā.ī  kījiye
vo  bhalā-chañgā  huā  bargashta  mujh  se  aur  bhī
kyā  bayāñ  naale  kī  apne  nā-rasā.ī  kījiye
khā  gayā  laġhzish  qadam  aisā  butoñ  ko  dekh  kar
jī  meñ  ye  aayā  ki  tark-e-pārsā.ī  kījiye
aks  ho  mālūm  us  kā  ghar  hī  baiThe  ai  'surūr'
pahle  zañg-e-dil  kī  jab  apne  safā.ī  kījiye