raat  kā  kyā  zikr  hai  shām-o-sahar  aayā  nahīñ
kaun  sā  ilzām  hai  jo  mere  sar  aayā  nahīñ
yuuñ  to  rāh-e-be-ḳhatar  meñ  rahnumā  milte  rahe
pur-ḳhatar  rāhoñ  meñ  koī  rāhbar  aayā  nahīñ
kaun  jaane  kis  ke  Dar  se  aaj  phir  merā  rafīq
chāhtā  thā  mere  ghar  aanā  magar  aayā  nahīñ
is  qadar  qurbat  baḌhī  har  naqsh  dhundlā  ho  gayā
vo  thā  mere  sāmne  lekin  nazar  aayā  nahīñ
dil  ko  kyā  kahiye  ki  vo  qātil  ke  ghar  ḳhud  hī  gayā
laakh  koshish  kī  magar  vo  raah  par  aayā  nahīñ
laakh  andeshoñ  ne  'anvar'  gher  rakkhā  hai  mujhe
raat  sar  par  aa  ga.ī  aur  nāma-bar  aayā  nahīñ