chaḌhte  tūfān  ko  sāhil  se  guzarnā  thā  miyāñ
riit  ke  ghar  ko  bahar-hāl  bikharnā  thā  miyāñ
kab  talak  paañv  ko  toḌe  hue  baiThā  rahtā
rāh-e-dushvār  se  rah-rav  ko  guzarnā  thā  miyāñ
itne  mānūs  the  sayyād  se  jaate  na  kahīñ
qaid  meñ  par  na  parindoñ  ke  katarnā  thā  miyāñ
jab  na  samjhe  to  phir  ab  chheḌ  ke  pachhtānā  kyā
chashm-e-namnāk  meñ  ublā  huā  jharnā  thā  miyāñ
ishq  ke  gahre  samundar  meñ  ga.e  kyuuñ  'anvar'
uthle  paanī  meñ  agar  Duub  ke  marnā  thā  miyāñ