zamāna  uf  ye  kaisā  ho  rahā  hai
jo  sīdhā  thā  vo  ulTā  ho  rahā  hai
ab  ahl-e-ilm  meñ  tārīkiyāñ  haiñ
jahālat  meñ  saverā  ho  rahā  hai
vahāñ  par  zindagī  kaise  bachegī
jahāñ  qātil  masīhā  ho  rahā  hai
bashar  kā  maqsad-e-taḳhlīq  dekho
use  honā  thā  kyā  kyā  ho  rahā  hai
ye  hai  taqlīd-e-maġhrib  kā  natīja
judā  muslim  se  parda  ho  rahā  hai
hamārī  rāst-goī  kaam  aa.ī
vafā  honā  thā  va.ada  ho  rahā  hai
jamāl-e-fikr-o-fan  kā  tere  'anvar'
suḳhan-dānoñ  meñ  charchā  ho  rahā  hai