dard-e-dil  kī  davā  hai  māh-e-nau
āsmāñ  par  khilā  hai  māh-e-nau
merī  hī  tarah  terā  bhī  un  se
kyā  koī  vāsta  hai  māh-e-nau
un  kā  chehra  dikhā.ī  detā  hai
kyā  koī  aa.ina  hai  māh-e-nau
muskurātā  hai  dekh  kar  ham  ko
jaise  sab  jāntā  hai  māh-e-nau
din  ko  sotā  hai  vo  na  jaane  kahāñ
raat  ko  jāgtā  hai  māh-e-nau
rah  ke  merī  tarah  se  chup  'anvar'
jaane  kyā  sochtā  hai  māh-e-nau