zindagī  apnī  ḳhvāb  jaisī  hai
ḳhūb-rū  be-naqāb  jaisī  hai
sehn-e-gulshan  meñ  aap  kī  hastī
shāḳh  par  ek  gulāb  jaisī  hai
kabhī  Duubī  hai  aur  kabhī  ubhrī
āshiqī  bhī  hubāb  jaisī  hai
hosh  meñ  rah  ke  bhī  hai  be-hoshī
ziist  apnī  sharāb  jaisī  hai
un  kī  shoḳhī  to  hai  bahār-e-chaman
sādgī  mahv-e-ḳhvāb  jaisī  hai
hai  karishma  ye  un  kī  āñkhoñ  kā
ḳhāmushī  bhī  ḳhitāb  jaisī  hai
guzre  lamhoñ  ke  saath  saath  'anvar'
zindagī  inqalāb  jaisī  hai