vaise  tum  achchhī  laḌkī  ho
lekin  merī  kyā  lagtī  ho
maiñ  apne  dil  kī  kahtā  huuñ
tum  apne  dil  kī  suntī  ho
jhīloñ  jaisī  āñkhoñ  vaalī
tum  behad  gahrī  lagtī  ho
mauj-e-badan  meñ  rañg  haiñ  itne
lagtā  hai  rañgoñ  se  bantī  ho
phuul  hue  haiñ  aise  raushan
jaise  in  meñ  tum  hañstī  ho
jañgal  haiñ  aur  baaġh  haiñ  mujh  meñ
tum  in  se  miltī-jultī  ho
yuuñ  to  bashar-zādī  ho  lekin
ḳhushbū  jaisī  kyuuñ  lagtī  ho
aksar  sochtā  rahtā  huuñ  maiñ
ḳhalvat  meñ  tum  kyā  kartī  ho
vo  qarya  ābād  hamesha
jis  qarye  meñ  tum  rahtī  ho