agar  maiñ  sach  kahūñ  to  sabr  hī  kī  āzmā.ish  hai
ye  miTTī  imtihāñ  pyāre  ye  paanī  āzmā.ish  hai
nikal  kar  ḳhud  se  bāhar  bhāgne  se  ḳhud  meñ  aane  tak
farār  āḳhir  hai  ye  kaisā  ye  kaisī  āzmā.ish  hai
talāsh-e-zāt  meñ  ham  ko  kisī  bāzār-e-hastī  meñ
tirā  milnā  tirā  khonā  alag  hī  āzmā.ish  hai
nabūd  o  buud  ke  phaile  hue  is  kār-ḳhāne  meñ
uchhaltī  kūdtī  duniyā  hamārī  āzmā.ish  hai
mire  dil  ke  darīche  se  uchak  kar  jhāñktī  bāhar
gulābī  eḌiyoñ  vaalī  anokhī  āzmā.ish  hai
ye  tū  jo  ḳhud  pe  nāfiz  ho  gayā  hai  shaam  kī  sūrat
to  jaanī  shaam  kī  kab  hai  ye  terī  āzmā.ish  hai
diye  ke  aur  havāoñ  ke  marāsim  khul  nahīñ  paate
nahīñ  khultā  ki  in  meñ  se  ye  kis  kī  āzmā.ish  hai