ġham  ke  hāthoñ  mire  dil  par  jo  samāñ  guzrā  hai
hādisa  aisā  zamāne  meñ  kahāñ  guzrā  hai
zindagī  kā  hai  ḳhulāsa  vahī  ik  lamha-e-shauq
jo  tirī  yaad  meñ  ai  jān-e-jahāñ  guzrā  hai
hāl-e-dil  ġham  se  ye  hai  jaise  kisī  sahrā  meñ
abhī  ik  qāfila-e-nauha-garāñ  guzrā  hai
bazm-e-doshīñ  ko  karo  yaad  ki  is  kā  har  rind
raunaq-e-bār-gah-e-pīr-e-muġhāñ  guzrā  hai
pā-ba-gul  jo  the  vo  āzurda  nazar  aate  haiñ
shāyad  is  raah  se  vo  sarv-e-ravāñ  guzrā  hai
nigrānī-e-dil-o-dīda  huī  hai  dushvār
koī  jab  se  mirī  jānib  nigarāñ  guzrā  hai
hāl-e-dil  sun  ke  vo  āzurda  haiñ  shāyad  un  ko
is  hikāyat  pe  shikāyat  kā  gumāñ  guzrā  hai
vo  gul-afshānī-e-guftār  kā  paikar  'sālik'
aaj  kūche  se  tire  ashk-fishāñ  guzrā  hai