na  mohtasib  kī  na  hūr-o-jināñ  kī  baat  karo
mai-e-kuhan  kī  nigār-e-javāñ  kī  baat  karo
kisī  kī  tābish-e-ruḳhsār  kā  kaho  qissa
kisī  ke  gesū-e-ambar-fishāñ  kī  baat  karo
ziyā  hai  shāhid-o-sham.a-o-sharāb  se  us  kī
faroġh-e-mahfil-e-rūhāniyāñ  kī  baat  karo
jo  mudda.ā  ho  kisī  qibla-e-murād  kā  zikr
to  āstāna-e-pīr-e-muġhāñ  kī  baat  karo
nahīñ  huā  jo  tulūa  āftāb  to  filhāl
qamar  kī  baat  karo  kahkashāñ  kī  baat  karo
rahegā  mashġhala-e-yād-e-raftgāñ  kab  tak
guzar  rahā  hai  jo  us  kārvāñ  kī  baat  karo
ye  qaid-o-said  ke  andesha-hā-e-be-jā  kyā
chaman  kī  fikr  karo  āshiyāñ  kī  baat  karo
yahī  jahān  hai  hañgāma-zār-e-sūd-o-ziyāñ
isī  ke  suud  isī  ke  ziyāñ  kī  baat  karo
ab  is  chaman  meñ  na  sayyād  hai  na  gulchīñ  hai
karo  to  ab  sitam-e-bāġhbāñ  kī  baat  karo
ḳhudā  ke  zikr  kā  mauqa  nahīñ  yahāñ  'sālik'
dayār-e-hind  meñ  husn-e-butāñ  kī  baat  karo